> Best 80 sad shayari | Sad shayari | Hindi shayari | Most popular shayari | Boipoka365 | shayari | Hindi Sad shayari
-->

Best 80 sad shayari | Sad shayari | Hindi shayari | Most popular shayari | Boipoka365 | shayari | Hindi Sad shayari


1. Agar tum kisi se pyaar karne ka daava karte ho to usse bhulne ki himmat nhi rakho


2. Chale jaate hai riste purane, kisi naye ke aajane se


3. Oneside hai toh kya hua, Love toh true hai


4. Impression se lekar, depression tak ka safar hi ishq hai.


5. Waqt ne hai kiya, humpe kaisa sitam


6. Faasle badh gaye, Aur kambakht mohabbat bhi.


7. Tu chahta hai ki dosti rahe, to ishq kar par jata mat


8. Hazar galtiya, ek zindagi


9. Kaash tum samajh sako,
Chup rehne walon ko bhi dard hota hai.


10. Akalmand nahi hai janab
bas thokar jyada khaye hai


11. Jab waqt apna na rahe toh, apne bhi kaha apne rehte hain


12. Hamaari naa neend poori huyi, naa khawab aur na mohabbat


13. Mohabbat ke alawa bhi log milte hain, itefaaq se, dosti se, zaroorat se


14. Dhoka diya pyar ne, saath diya yaar ne


15. Hum kuch na kah sake unse, itne jazbaton ke baad hum ajnabi ke ajnabi rahe itni mulakaton ki baad


16. Kis baat ki saza de rahe ho, pyaar kiya isliye Ya tumse zyada kiya isliye


17. Saal toh har saal badalta hai, khud ko badalna seekho


18. Dil ki taqleef kam nahi karte, ab koi shikwa hum nahi karte


19. Dil ko aaj bhi aadat hai, usko duaon main mangne ki


20. Ab wo sirf ek naam hai, jo hamesha yaad rahega


21. Meri ek choti si baat maan lo, safar lamba hai haath thaam lo



22. Un logo se dooriyan hi thik hai, jinhone nazdikyon ki qadar nahi ki


23. Zaroorat khatam, rishta khatam


24. Har kisise ho jaye majboori thodi hai, aur jise hum chahe woh bhi humain, chane zaroori thodi hai


25. Duniya gol hai meri jaan, aj tum kisi ko rulaoge, kal tumhe koe rulayega


26. Insaan dusro se mili izzat, aur apno se mili bezzati, kabhi nahi bhulta


27. Zindagi wahi hai, jo jee rahe hai, ye karenge, woh karenge ye toh khwaab hai



28. Sukoon jinki baaton se milta hai, unki hi khamoshi maar deti hai



29. Meri zindagi meri jaan ho tum, mere sukoon ka dusra naam ho tum



30. Kuch rishte toot zarur jaate hai, par khatam kabhi nahi hote


31. Log waise nahi hote, jaisa wo status lagate hai


32. Maine naraz hokar bhi dekh liya, usey koi farak nahi padta



33. Bohot dino baad dekha usey, dil to nahi bhara bas aankh bhar gayi


34. Rone se dard khatam nahi hota, lekin dil ko sukoon zaroor milta hai



35. Zaroorat ho, tab yaad kar lena, hum aapki tarha ignore, nahi karenge


35. Seh liya jo sehna tha, ab jeena hai, sabko ignore karke



36. Agar koi apna ho toh aaina jaisa ho, hase bhi saath aur roye bhi saath



37. Har koi app ko nahi, samjhega yehi zindagi hai



38. Kaash tum samajh sako chup rehne, walon ko bhi, dard hota hai


39. Iss do pal ki zindagi me, hazaar baar marr chuke hai hum



40. Chah kar bhi use apna na bana sake,
Ishq kar k bhi unhe ye jata na sake.
Dil tha hamara koi kagaz ka tukda nahi,
isliye cheer kar kabhi bhi dikha na sake


41. Yaad toh teri bahut aati hai mujhe,
Par tumhe pata hona chaiye ke yeh
Bayaan karna mere bas ki baat nahi.
Tu dekh kabhi mere nazariye se
Apne aap ko, Maine Khuda se jyada tujhe yaad
Kiya hai!



42. Chaahat Ke Yeh Kaise Afsane Huye,
Khud Nazron Mein Apni Begane Huye,
Kisi Bhi Riste Ka Khayal Nahi Mujhe,
Ishq Mein Tere Is Kadar Diwaane Huye



43. Insaan us waqt bahot akela ho jata jab
Uske apne bi us insaan ko galat samjhne lag jaye



44. Yaadein Reh Jaati Hain Aur Din Gujar Jaate Hain, Dekhte Dekhte Hare Bhare Baag Ujad Jaate Hain, Vaqat Ke Haathon Ka Khilona Hota Hai Insaan, Jeevan Bhar Ke Humsafar Pal Bhar Mein Bichhad Jaate Hain



45. Teri Talash mein Nikloon bhi to kya Faida
Tu Badal gaya hai, Khoya hota to Alag Baat thi



46. Apne Dil Ki Baat Unse Keh Nahi
Sakte, Judai Ka Gam bhi Seh Nahi Sakte
Aye Khuda Aisi Taqdeer Bana Ki Wo, Khud Aakar, Kahe, Hum Aapke Bina Reh Nahi Sakte


47. Kabhi khusi me shayri nhi likhi jati
Ye wo dhun hai jo Dil tutne par banti hai


48. Ye rooh bar bar na roti
Kash mujhe tujhse mohbbat na hoti


49. Tujhe chaha tujhe maga
Pr haq na jtaya kabhi
Tujhse dur hokr khud roye bhut
Pr tujhko na staya kabhi


50. Hazaar tukde kiye usne
Mere dil ke, Phir wo khud he ro pada
Har tukde pe apna nam dekh kar



51. Mujhe aise chod kar kya mila akhir tumhe, khud bhi Tanha reh gye mujhe bhi Tanha kar gye



52. Ek Ladki Ki Izzat Karna Usko
Khubsurat, Kahne Se Zyada Khubsurat Hai


53. Jab tum yeh dekho
K kisi ki nazar main tumhree value nahi rahi to phir wahan kabhi mat rukna
just walk away


54. Ek baat bolu
Yeh log jo har choti choti baat par 'Sorry' bolte hain naa, Inka dil bohat saaf hota hai..inka dil kbhi mat thorna


55. Har kisi ko aise kisi insan ki jarur jarurat hoti hai, jo tab bhi appke sath khada ho
Jab puri duniya aapke against ho



56. Sab se zada gussa khud Par tab aata h
Jab pyar bi hum kre intazar bi hum
Jataye bi hum. Aur roye bi hum



57. Kisi Se Bewafai Itni Bhi Na Karo Ki,
Unhe Pyar Par Naaz Karne Ka Mauqa Bhi Na Mile. Kisi Ka Dil Itna Bhi Na Todo Ki,
Fariyaad Karne Ka Ek Tukda Bhi Na Mile



58. Mana ke kismat pe mera koyi jor nahi
Par ye such h ke mohabbat meri kumjor nahi
Us ke dil me, uski yaado me koi aur hai lekin
Meri har saans mein uske siwaa koi aur nahi



59. Dil Karta Hai Zindagi Tujhe De Du
Zindagi Ki Saari Khusiya Tujhe De Du
De De Agar Tu Mujhe Bharosa Apne Saath Ka
To yakeen Maan Apni Saanse Bhi Tujhe De Du




60. Na Kabhi Ye Bataya Ki Pyar Kitna
Hai, Na Kabhi Ye Jataya Ki Dard Kitna h
Bas Hume Aur Khuda Ko Hai
Malum, Tumse milne ka intejarr kitna hai


61. khuda ne ham dono k beech jyada frk nhi rkha, bus bat itni si hai tujhe chahne wale bahot hai, aur mujhe thukrane wale bahot hai



62. Hazaro Raaton Me Ek Raat hoti hai
Skoon Milta hai Jab Tumse Bat Hoti Hai


63. Teraa Khayaal Rakhte Rakhte
Kab Khud Ko Chote Lag Gayi
Ptaa Hi Naa Chala


64. Aaj hasi dekar kal rula na dena,
Itna miss karke kal bhula na dena,
Apne in Rishton ko yaad Rakhna,
Kahin inhe bhi Msg ki tarah mita na dena



65. Jis duniya me baste ho tum,
Usi duniya me baste hai hum,
Magar khuda ki kudrat to dekho,
Tumse milne ko taraste hai hum



66. Mat Kar Itni Mohabbat Ae Dil
Pyar Ka Dard Tu Seh Na Payega
Toot Jayega Kisi Apne K Hathon Se
Kis Ne Toda Ye Bhi Kisi Se Keh Na Payega


67. Pyar karna usi din chor diya humne
Jab unke ankho me pyar kisi aur k liye dekha


68. Mujhe Kismat Se Koi Shikwa Nahi, Lekin Ae Mere Khuda, Woh Meri Zindagi Mein Aaya Hi Kyun Joh Meri Qismat Mein Nahi Tha



69. Hum Aap Ki Har Cheez Se Pyar Kar Lenge,
Apki Har Baat Par Aitbaar Kar Lenge
Bas Ek Bar Keh Do Ki Tum Sirf Meri Ho,
Hum Zindagi Bhar AapKa Intezar Kar Lenge



70. Na wo sapna dekho jo tut jaye,
Na wo hath thamo jo chhut jaye,
Mat aane do kisiko itna karib ke..
Uske dur jane se insan khud Toot
jaye



71. Mat ho udaas itna kisi anjaan ke liye aye dil, jaan bhi de denge toh wo kahenge
iski umar hi itni thi


72. Mumkin nahi Shayad kisi ko
samajh pana, Samjhe bina kisi se kya dil
lagana, Aasan hai kisi ko apni pasnd
banana, Par bahut mushkil hai kisi ki
pasand ban pana



73. Zindagi Rahe Na Rahe hamari Dosti Rahegi,
Paas Rahe Na Rahe hamari Yaadein Rahegi,
Apni Zindagi Mein Hamesha Haste Rehna,
Kyunki Aapki Hasi Me Ek Muskaan hamari Rahegi



74. Tanhai aksar puchti hai humse,
kya aaj bhi intezaar hai uske
laut aane ka
Yeh dil muskura k kehta hai
mujhe to ab tak yakin nahi hua
uske chale Jane ka



75. Behte Aakhon Ki Zubaan Nahi Hoti Lafzon Me Mohabat Bayaan Nahi Hoth Mile Pyar To Kadar Kerna Kismat Har Kisi Par Maherban Nahi Hoti



76. Ek lamha jo baar baar satata
hai, na jaane yeh dil kya chahta
hai, Kaash aap hote hamari nazron k
saam ne, par yeh kaash kaash hi reh jata
hai


77. Log Aksar Dua Karte Hai,
Ki Khuda Pyar Karne Walo Ko,
Kabhi Juda Na Kare.
Par Hum To Humesha Kahenge
Ki Jo Na Ho Kismat Me,
Khuda Usse Pyar Kabhi Na Karwaye



78. Ek Din Hum Aapse Etne Dur Ho
Jayenge, Ke Aasmaan Ke In Taaro Mein Kahi
Kho Jayenge, Aaj Meri Parwaah Nahi Aapko,
Par Dekhna Ek Din Hadh Se Jyada,
Hum Apko Yaad Aayenge



79. Sab Honge Yaha Magar Hum Na Honge,
Humare Na Hone Se Log Kam Na Honge,
Aise To Bahut Milenge Pyar Karne Wale,
Hum Jaise Bhi Milenge Magar Wo Hum Na Honge



80. Jee bhar ke rote hain to karaar milta
hain, Es jaha mein kahan sab ko pyar milta hai,
Zindagi guzar jati hai imtihano k daur se,
Ek zakhm bhrta hai to dusra taiyar milta
h

 

Delivered by FeedBurner

a