1. Main Dua Mein Tujhe Manga Hai, Magar Wafa Se Manga Hai, Kabhi Sajde Mein Jakar Pucho Apne Rab Se, K Maine Kis Kis Ada Se Tumhe Manga H
2. Teri dhadkan hi zindagi ka kissa hai mera, tu zindagi ka ek ahem hissa hai mera, ye mohabbat tujhse sirf lafzo ki nahin hai, teri rooh se rooh tak ka rishta hai mera
3. Ishq mohabbat to sab karte hai, gam-a-judai se sab darte hai, hum to ishq karte ha na to mahabbat, hum to bas aapki ek mushkurahat pane ke liye taraste hai
4. Tere Bina Tutkar Bikhar Jayenge, Tum Mil Gaye To Gulshan Ki Tarah Khil Jayenge, Tum Na Mile To Jite Ji Mar Jayenge, Tumhe Paa Liya To Markar Bhi Jee Jayenge
5. Meri mohabbat hai woh koi majboori to nahin, Woh mujhe chahe ya mil jaye, zaroori to nahin, Yeh kuch kam hai ke basa hai meri saanson mein, Woh saamne ho meri aankhon ke zaroori to nahin
6. Yaar Pehloo Mein Hai, Tanhai Hai, Keh Do
Nikle, Aaj Kyun Dil Mein Chhupi Baithhi Hai
Hasrat Meri
7. Hamari khamoshi hamari aadat hai,
In duriyo mein bhi hamari chahat hai,
Hamari zindagi agar khubsurat hai
to, Uski wajah aapki muskurahat hai
8. Zindagi Teri Bahon Mein Guzarne Ki
Chahat Hai, Teri Yaadein Hathon Mein Thamne Ki Chahat Hai, Tumhare Chehre Ke Alava Na Koi Chehra Hai Aankhon Mein, Bas Tumse Beintehaa Mohabbat Karne Ki Chahat Hai
9. Kab tak wo mera hone se inkaar karega,
Khud tut kar wo ik din mujhse pyaar karega ,
Ishq ki aag me main usko itna jala dungi ,
Ki izhaar wo mujhse sar -e -bajaar karega
10. Yeh Doori Aur Humse Sahi Nahi Jaati ,
Tere Paas Aane Ko Dil Karta Hai ,
Bhula Kar Saare Duniya Bhar Ke Ghamon Ko,
Tere Aagosh Mein So Jaane Ko Dil Karta Hai
11. Bin Aapke Kuchh Bhi Achha Nahi Lagta ,
Kuchh Pal Ki Judai Bhi Sahi Nahi Jaati,
Tum Khud Hi Samajh Lo Gahrayi Pyar Ki,
Likh Kar Yeh Baat Mujhse Kahi Nahi Jaati
12. Dil kehta hai
Sun ja tu humnava
Dil ke aangan mein
Aaja na ek dafa
13. Ek tu teri aawaz yaad aayegi,
Teri kahi huwi har baat yaad aayegi,
Din dhal jayega raat yaad aayegi,
Har lamha pahli mulakat yaad aayegi
14. Kuchh sochu toh tera hi khayal aata hain,
Kuchh bolu toh tera naam aata hain,
Kab tak mai chupaon apne dil ki baat,
Uss ki har ada pe hume pyar aata hain
15. Hasrat hain sirf tumhe paane ki,
Aur koi khawahish nahi is deewane ki,
Shikwa mujhe tumse nahi khuda se hai ,
Kya zarurat thi tumhe itna khubsurat banaane ki
16. Us ke Saath Rehte-Rehte,
Us ki Chahat Si Ho Gayi Hai..
Us se Baat Karte Karte
Uski Aadat Si Ho Gayi Hai
Ek Pal Naa Mile Toh Bechani Si Lagti Hai
Dosti Nibhaate-Nibhaate,
Us se Mohabbat Si Ho Gayi hai
17. Aapki Muskurahat ne hame behosh kar diya, Aapki Muskurahat ne hame behosh kar diya, Hum Hosh me aane hi waale the,
Ki Aapne fir se muskura diya
18. Apna Humsafar Bana Le Mujhe,
Tera Hi Saya Hu Apna Le Mujhe,
Ye Raat Ka Safar Or Bhi Hasin Ho Jayega,
Tu Aa Ja Mere Sapno Me Ya Bula Le Mujhe
19. Mehnat Lagti hai Sapno Ko Sach Banane Me, Housla Lagta hai Bulandio Ko Pane Me,
Barso Lagte H Zindagi Bnane Me, Aur, Zindagi fir b Kam Padti H “RISHTE” Nibhane Mein
20. Dil me humne tumhaare pyar ki dastaan likhi hain, Naa thodi naa tamaam likhi hain,
Kabhi humaare liye b dua kar liya karo sanam,
Humney toh har ek saans tumhaare naam likhi hain!
21. Hum har ek pal hans kar jiya kartey hai,
Aapse dil ki baate kiya kartey hai,
Aap bahut khas ho hamarey liye,
Tabhi hr waqt apko yaad kiya kartey hai!
22. Bas Ek Choti Si Haan Kr Do
Hamare Naam Is Tarha SaraJahan Kr Do!
Wo Mohabbtain Jo Tumare Dil Mein Hain
Un ko Zuban Pr Lao 0r Bayan Kr Do!
23. Jb chhoti chhoti baaton mein,
Hum haste the or rote the,
Tab se tumse pyaar kiya
Jab bin mausam barsaato mein,
Hum jhoom jhoom ke gaate the,
Tab se tumse pyaar kiya
Jab chup chup ke aadhi raaton me,
Chhat pe taare ginte the,
Tab se tumse pyaar kiya
Ab toh khud bhi bhool chuka hu,
Ki kab tumse pyaar kiya
Bas itna he keh sakta hu,
Ki sirf tumse, or tumhi se pyar kiya sarah
24. Dil me humne tumhaare pyar ki dastaan likhi hain, Naa thodi naa tamaam likhi hain,
Kabhi humaare liye b dua kar liya karo sanam,
Humney toh har ek saans tumhaare naam likhi hain!
25. Jaha Tak Ye Tanhaayi Le Jaati Hain Yaad Tumhaari, Waha Se Hi Shuru Hoti Hain Zindagi Hamaari, Socha Nahi Tha Ki Tumhe Chaahenge Iss Kadar, Magar Tum Ab Ban Gaye Ho Kismat hamaari!
26. Bahut Chahenge Tumhe Magar Bhula
Na Sakenge, Khayaalon Mein
Kisi Aur Ko Laa Na Sakenge,
Kisi Ko Dekh Kar Aansoo
To Pochh Lenge Magar Kabhi
Aapke Bina Muskura Na Sakenge
27. Dil ko teri mojoodgi ka ehsaas yun chahiye
Tu chahiye, tu chahiye
Shaam-o-subah tu chahiye
Tu chahiye.. Tu chahiye..
Har martabaa Tu chahiye
Jitni dafaa.. zidd ho meri
Utni dafaa.. haan, Tu chahiye
28. Sun lo jo agar to ek baat kahoon,
Tere dil ko main apni kainaat kahoon,
Basa kar tujhe apni jism-o-jaan mein,
Mohabbat ko main apni hayaat kahoon.
29. Teri ankho me wo nasha hai,
Jo koi maikhana bhi na kara sake.
Mere sanam rehem kar mujh pur
Ya to is nashe me dub jane de,
Ya phir is zindagi se ubar jane
30. Hasrat hain sirf tumhe paane ki,
Aur koi khawahish nahi is deewane ki,
Shikwa mujhe tumse nahi khuda se hai,
Kya zarurat thi tumhe itna khubsurat banaane ki
31. Kisi ek se karo pyaar itna,
Ke kisi aur se pyaar karne ki gunjaish na rahe,
Woh muskrade aap ko dekh kar ek bar,
Toh zinadgi se phir koi khwahish na rahe
32. Unki gliyo se guzre tho mnzr kch ajib the
Drd tha dil me mgr vo dil ke krib the
Jise dundte rhé hm apne haatho ki lakeero me, VO kisi or k kismat or kisi k nasib me the
33. Dil Ko Khush Karde Aisi Muskurahat
Hai Tumhri, Mere Dil Ko Chura Le
Aisi Adaaen Hai Tumhri, Jee Karta
Hai Doob Jau Teri Aankho Me, Duniya
Me Sabse Pyari Hai Aankhe Tumhri sarah
34. Har subah teri duniya me roshni kar de
Rab tere gum ko teri khushi kar de,
Jab bhi tootne lage teri sansein
Khuda tujme shamil meri zindagi kar de
35. Humein aap ki jaan nahi sirf saath chahiye,
Sacche ishq ka sirf ek ehsaas chahiye,
Jaan toh ek pal mein di jaa sakti hain,
Pr hume apki mohabbat aakhri sans tk chahiye
36. Parwah kar uski jo teri parwah kare,
Zindagi mein jo kabi na tanha kare,
Jaan ban ke utar jaa uski ruh mein,
Jo jaan se bhi jyada tujhse wafa kare
37. Jee chahta hai un se pyari si baat ho,
Haseen chand taray hon, lambi si raat
ho, Phir raat bhar yehi guftagu rakhen hum
dono, Tum meri zindagi ho, tum meri kainat ho
38. Koi-Koi Shaks Itna Khaas Hota H
Nazro Se Dur Pr Yadon Me Pas Hota He
Kbhi-Kbhi Hi Aata H Pegam Unka
Par Hr Pegam Se Apnepan Ka Ehsas Hota He
39. Mohabbat ka matalb pana ya khona nahi hota, mohbbat ka matalb ek dusre ki baat
bin kahe samjh jana hota hai kisi ki khusi k lye jena kisi ki care karna hota hai, na ki only I LOVE YOU bolna mohbbat hota hai
40. Tum dill ki dharkan me
rehte ho rehte ho
Meri en saso se khete hoo
Khehte hoo
Baho me ajao
Sapno me koh jao
41. Dil To He Jo Sirf Tujpe Hi Mare Ja Raha Hai, Teri Yad Me Teri Tasbih Kiye Ja Raha Hai,
Ab To Ye Juday Ka Gam Hum Se Saha Nahi Ja Raha Hai, Aur Ek Tu Hai Jo Dur Reh Kar Muje Tadpa Rahi Hai
42. Teri Mohabbat Mai Ye Muqaam Chaha Hai, Tere Nam Ke saath Apna Nam Chaha Hai
Tu Mujhy Mil Jay Meri Jaan Hameesha Ke Liye, Bas Itna Hi Apni Mohabbat Ka Anjam Chaha Hai
43. Khabar sabko thi mere kacche ghar ki
Fir bhi dua me sabne barshat mangi
44. Badi Der kardi tune mera dil todne me
Naa jane kitne shayar mujhse aage nikal gye
45. Kuch haar gayi takdeer kuch toot gaye sapne, Kuch ghairon ne kiya barbaad, kuch chorr gaye apne
46. Kabhi toota hi nahi dil se tumhari yaadon ka rishta, Baat ho ya na ho khayal tumhara hi rahta hai
47. Badal jate hai wo log waqt ki tarah
Jinhe hadd se zyada waqt diya jata hai
48. Whatsapp aur Insta par koi bhi add ho
Lekin dil me to tum hi ho meri jaan
49. Pyar kitna bhi saccha kyu na ho
Shadi wahi hoti hai jaha naseeb likha hota hai
50. Ek baat hamesha yaad rakhna
Mang usi kar bharna, jisse kabhi dil na bhare
51. Shayad Tera Najaria Mere Najariye Se Alag Tha, Tujhe Waqt Gujarna Tha Aur Mujhe Zindgi
52. Suna hai bade ameer ghar me shadi huyi hai tumhari, Wo bhi ruthne par meri tarah ghanto tumhe manate hai kya
53. Nind ki goliyan kha kar sota hu ab
Jo teri aawaz sun kar soya karta tha
54. Pata nahi kitna pyar ho gya hai tumse
Naraz hone par tumhari aur bhi zyada yaad aati hai
55. Bye bolne ke baad bhi agar baat hoti rahe, to samjh lena ki rishte mazboori me nahi
Dil se nibhaya ja raha hai
56. Yoo' hi mausam ki adaa dekh ke yaad aaya hai, Kiss qadar jald badal jaate hai' insaan jaana
57. Tumhari yadon se nikal Kar jaye to kahan jaye keyfi, Tum kahayalo ke har modh Par hoti ho
58. Sab Kuch Karo Bura Bhala Keh Lo
Girebaan Pakad Lo, Magar Kabhi Bhi Dorahe Pe Laake Kisi ka Saath Mat Chhodna, Banda BeBas Ho Jata
59. Ek had tk dard sehhne ky bad
Insan khamosh sa ho jata hai
Or phir na kisi sy shikayt krta hai
Or na kisi sy koi umeed rkhta hai
60. In aankhon yun na dekha karo
Andar sailaab hai bhig jaoge
61. Daal kar aadat bepanaah mohabbat ki
Ab wo kehte hai samajha karo waqt nahi hai
62. Apni najar utaar Lena
Tum najaron me Chad Gaye ho
63. Haath Ki lakirein Sirf Sajawat
Bayaan Karti Hain
SANAM
Kismat Agar Maloom Hoti To
Tum Se Itna Ishq Na Karte
64. Tum kehte ho ease pyar nahi hota h. Him kehte h usi pal mar jate h jis pal tumhara didar nahi hota h roti hai ye aankhe humari par asko par samandar nahi hota h. Khuda bhi tarap gaye dekh jar humari tarap ko aur tum kehte ho aise pyar nahi hota h
65. Aaj Hum Akele Hai Akele Hi Reh
Jayeinge
Jaab Marna Hai Tho Ekele Hi
Marr Jayeinge
Aaegi Nehi Voh Humari Chita Ki
Aag Jalane Ko
Aaegi Nehi Voh Humare Nishaan
Iss Dharti Se Mitane Ko
Na Aana Tum Kabhi Bhi Hum
Intzaar Nehi Karenge
Aaj Hum Jee Rehe Hai Magar
Hum Jee Kar Bhi Jee Na
Sakenge
Tum Aapne Dost Ki Khasti
Le’kar Kehin Dhoor Chale Jaana
Nazar Hum Aaye Tho Kehin
Dhoor Le Ja Kar Raakh Bana
Dena
Tum Jeeo Meri Jaan Tumein
Jeena Hai Aapni Zindgi Ke Liye
Hum Tho Dhoob Jayeinge Iss
Mohabbati Ki Bewafaii Ke Liye
66. Kabhi Hum Tute Toh Kabhi Khwab Tute
Naa Jane Kitne Tukdo Me Armaan Tute
Har Tukda Ek Aaina Hain Zindagi Ka,
Har Aaine Ke Sath Laakho Jazbat Tute
67. Ek pal ki judai gawara na kar sake
Aisa ishq hum dobara na kar sake
Zindagi bhar palat ke naa dekha kabhi
Hum fir v shikwa tumhara naa kar sake
Tune toh har kisi se dil laga ke dekha
Magr hum apne dil ko awara na kar sake
Jaan tak luta di un ke pyar mein magar
Ek dil hi woh apna humara naa kar sake
68. Uske liye saari duniya se bagawat ki thi
Yaad aata hai maine bhi mohabbat ki thi
Usko chhod ke haste huye ghar aakar,
Itna roye the ki aankho ne b shikayat ki thi
69. Garmiye hasrat-e-nakaam se jal jaate hain
Hum chiraagon ki tarah shaam se jal jaate hain
Shama jalti hai jis aag mein numayish ke liye
Hum usi aag mein gumnaam se jal jaate hain
Jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath
jaane kyon log mere naam se jal jaate hain
70. Mere Mehboob ke Jalwon ka nahi koi Jawaab
Dhoop sa rang hai aur khud hai wo Chha’aoon jesa
Uski Payal mai Barsaat ka Mausam Chhanke
Sar pe Resham ka Dupatta hai Ghata’aon jesa
Wo jahan bhar ke Haseeno se juda hai Mere Dost
71. Pyar mein marne jeene ki kasme khati thi woh Mere saath hi apna saara waqt bitati thi woh jane kya khata hui thi mujhse mere dosto
na jane kyo aaj raah chalte mujhse muh chupati hai woh
72. Kitna bhi chaho, na bhol paoge
Hum se jitna dur jao nazdik paoge
Humein mita sakte ho to mita do
Yaadein meri, magar
Kya sapno se juda kar paoge humein
73. Dil Jab Bilkul Toot Jata Hai To Aapko
Yaad Karte Hain, Apna Samajh Kar Dil Ki Har Baat Karte Hain, Nadan Samajh Kar Maaf Kar Dena, Jo Anjane Mein Kabhi Aapko Pareshan Karte Hain
74. Wo pyar ka sabot dikhaya karte the
Ansu baha ke hume manaya karte the
Is zindagi main sirf aap se wasta hai
Wo aksar hame batlaya karte the
Sone ki fursat kise the
Wo hume saari raat jagaya karte the
Bechaini jab had se zyada badh jati the
Tab wo jee bhar ke gale lagaya karte the
Wo mohabbat karne wale badal gaye
Jo har baat par “meri kasam” khaya karte the
75. Zindagi Ek Chahat Ka Silsila Hai,
Koi Kisi Se Mil Jaata Hai To Koi Kisi Se Bichad Jaata Hai, Jise Hum Maangte Hai Apni Dua Me,
Wo Kisi Ko Bina Maange Mil Jaata Hai
76. Apni to mohabbat ki itni kahani hai,
Tooti hui kashti or tehhra hua pani hai,
Ek phool kitabon may dam tor chuka hai,
Magar kuch yaad nahi aata yeh kis ki nishani hai
77. Ye aarzu nahi ke kisi ko bhulaye hum
Na tamanna ke kisi ko rulaye hum.
Par dua hai uss rab se,
jisko jitna yaad karte hain,
usko utna yaad aayein hum
78. Hum iss qadar tumpe mar mittege
Tum jahan dekhoge hum hi tumhe dikhege
Rakhna har pal iss dil mein hamari yaad
Hamare baad hamare pyar ki daastaan duniya vaale likhege
79. Juda rehkar bhi woh satane se baaz nai ate, Dur rehkar bhi who dil jalane se baaz nahi ate, Khud toh so jate hai chain se magar,
Khwab me aane se bhi wo baaz nahi aate
80. Meri deewangi ki koi hadd nahin
teri soorat ke siva kuch yaad nahin
mein hu phool tere gulshan ka
tere siva mujh pe kisi ka haq nahin